18/8/10
jin ki duniya me maa nahi hoti
maa ke wo pyar ko taras te hei
kitne logo ki maa ho kar bhi
maa ki khidmat nahi wo karte hei
kal wo pachtayenge zmane mei
galt fehmi me aaj wo jite hei
badd naseeb pyaar maa ka khote hei
budhe ho kar yehi loog rote hei
yaad ayenge aaj jo khote hei
lakh unko pukaro duniya me
ane wale fir kaha hote hei
waqt hote huwe samhal jao
un ke jaz bat tum samajh jao
un ki khid mat me logon lag jao
maa baap ko lagao gale
un ki halat ko tum samajh jao
un ke pero me hei jannat kunji
aakhirat ko tum sawar jao
witten by hameeda ameer
apna khayal rakhna
ALLAH HAFIZ
17/8/19
as salamu ale kum
dard or dukh se bhari teri duniyaa
bhuk or pyaas se mar -rahi teri duniyaa
aaj majbur hei budhi maa sab ki
un ko thukra rahi teri duniyaa
baap - bete or bhai - behen
naf - ratei palti teri duniyaa
aaj lag ta nahi kuch bhi achcha
path dil bani teri duniyaa
pyaar jazbaat or khuddari
daau sab kuch laga rahi teri duniya
bhej de tu masiha koi khuda
jo saware aaj teri duniyaa
wirtten by hameeda ameer
apna khayal rakhna
ALLAH HAFIZ BIBBO
16/8/19
as salamu alekum
teri chahat mili hmei jab se
ye zmaana haseen lagne laga
koi duja nahi jahaan me ab
tera chehra ( chand ) lagne laga
baahare phool sare ye nazare
tere ane se hansi ab hei sare
tere ane se suni duniya me
kun khizaa bhi haseen lagne laga
kya mohabbat esi ko kehte hei
tu hi sab se hasin lag ne laga
witten by hameeda ameer
apnakhayal rakhna
ALLAH HAFIZ
16/8/19
salamu ale kum
be qarari ka ajeeb aalam he
yaad teri sata rahi he mujhe
yaad wo aaraha zamaana he
yaad teri rulaa rahi he mujhe
aaj kitni sata rahi yaadei
laab to khamoosh roo rahi aankhei
dil to kehta he bhul jau tujhe
rasme ulfaat sata rahi he mujhe
kit ni bedard haye duniyaa he
phir bhi chahat bula rahi he tujhe
aahei bhar te hei aaj ham to sanam
rooti aan khei bulaa rahi hei tujhe
witten by hameeda ameer
apna khayal rakhna
ALLAH HAFIZ BIBBO
14/8/19
ayaa he mahina sawan ka or yad tumhari laya he
ambar pe badarwa chaye hei or sath bijuriyaa laya he
ghan ghoor ghata ja lot bhi ja sajan mere pardes gaye
jab cham ke bijuriya dar lage aese me drana thik nahi
sajan ke karejwa lag jau sajan to mere paas nahi
barkha ke sath ye neyan bahei ajao rulana thik nahi
tere bin din ab kat te nahi or din ye judai hat te nahi
ajao sajan aa bhi jao ab itna satana thik nahi
tere bin ab to dil na lage sawan ki fuhare shul bani
tadpe dil bin pani machri itna tadfana thik nahi
wirtten by hameeda ameer
apnakhayal rakhna
ALLAH HAFIZ
11/8/19
dil mera aaj mujh se kehta he gar ijaazat mujhe khudaa de de
sajda apni maa ko me karlun gar ijaazat khuda mujhe dede
mafi mujh ko tu khuda de de chum lun me gar maa ke pro ko
us ke peroo mei meri jannat he mafi gar tu mujhe khuda de de
tu kahe to me khudaa manu ? gar ijaazat tu khudaa de de
usne pe-daa kiya he pala mujhe mujh pe ehsaan kit ne kar dale
kese utrenge ye sabhi mujh se mere hisse me meri maa de de
aaj bebas he kitni budhi maa meri ye umr bhi usse de de
apna khayal rakhna
wirtten by hameeda ameer
ALLAHHAFIZ
dil mera aaj mujh se kehta he gar ijaazat mujhe khudaa de de
sajda apni maa ko me karlun gar ijaazat khuda mujhe dede
mafi mujh ko tu khuda de de chum lun me gar maa ke pro ko
us ke peroo mei meri jannat he mafi gar tu mujhe khuda de de
tu kahe to me khudaa manu ? gar ijaazat tu khudaa de de
usne pe-daa kiya he pala mujhe mujh pe ehsaan kit ne kar dale
kese utrenge ye sabhi mujh se mere hisse me meri maa de de
aaj bebas he kitni budhi maa meri ye umr bhi usse de de
apna khayal rakhna
wirtten by hameeda ameer
ALLAHHAFIZ
23/7/10
as salam-o -alekum
meri chahat mera es dil ka qaraar he tu
mere es dil ke aine ka raaz daar he tu
tere siwa koi nahi he pyaara mujh ko
meri rooh or jism ka tabedar he tu
meri har saans me tu hi tu basta he
meri har dhardan ka zimmedar he tu
meri har shushi or gaam ka sarmaya he tu
meri suni ( siyaah ) rato ka ( charaag ) he tu
tere siwa nahi mera koi zamane me sanam
tujh ko malum nahi mera ( jahaan ) he tu
written by hameeda ameer
apnakhyal rakhna
bye bibbo
23/7/10
ku tere pyaar me hans te hei kabhi rote hei
kya mohabbat ke gam is tarhaan hi hote hei
teri chahat me sukh - dukh ku uthate hei
kabhi - rote hei or- hanste hei - ruth- jate hei
chand yadon ke siwaa kuch bhi na paya hamne
teri ik yaad he ham jis se behel jate hei
chean ik pal ko bhi nahi milta door ho kar tujhse
bas teri dhun me ham to duniya se door jate hei
ajaa ab to ajaa dil ki awaaz yehi kehti he
teri ek yaad he din raat sath rehti he
chen lene nahi deti teri furqaat mujh ko
beqaraari he jo shamo sehar rehti he
written by hameeda ameer
apnakhayal rakhna
bye bibbo
20/7/10
teri sanso me ae-si khushboo he
is naashe me dub jana hei
tu meri khub surat ik gazaal
zindgi bhar gun-gunani hei
pyar mera tera purana he
sari duni se ye chipana hei
guzre bahon me zindgi meri
raaz dunia ko na bata na hei
dush-man ulfat ka zamana he
raaz ye bhi bada purana hei
raze ulfat nahi batana he
dil ki duniya alag basa na hei
sirf dekhu tujhi ko piyaar karun
ab to yun zindgi bitana hei
apna khyal rakhna
wirtten by hameeda ameer
17/7/10
as salam-o-alekum
tu hi tu bas nazaar mujhe aata
tera ( jalwaa) hi har taraaf bhaata
kun nazar aye sirf tu he tu har su
apne sare (karishme) tu dikhla???
meri har sans me meri ruhh me
is zamee me aasmaa mei sirf tu hi tu
chand me chand ni raat me tu
saree (qaainaat) me tu hi dikhta he
tu he phoo loon me or kaliyon me
noor teraa he har su. har jagha bas tu
phir bhi bande nahi samjh te hei
tune (duniya) banai kese (kun)
kees (maqsad) se ham ko bheja he
bhul bhethe hei aaj sare kun?????
kun bhalai sabhi se chuti he
duniya lagti he sari jhuti he???
or burai sabhi ko bhati he????
dil kun lagta (sheitani) bato me
bhul bhthe he kun bhalai sab
dil (shiyah) ho gaye hei jane kun
raasta ( bhalai ) ka nazar nahi ata
rasta in ko dikhade malik tu
noor tera he har taraf phel laa
phir bhi in ko nazar na aye kun
char din ki ye zind gani he mere rabba
chod duniya ye to jani he
karm ki sazaye phir to pani he
en ko rasta dikha mere makik tu
written by hameeda ameer
apna khyal rakhna
ALLAH hafiz bibbo
15/7/10
as salamu alekum
dil churane ki tujh ko aye adaa
dil chu-rayen mera nichi-nigaah
mujh ko pagal banayen teri aad-da
dil mera haye bas tujhe chahe
kesa zaalim ne mujh pe jaad-du kiya
tu jo chaalti he kyaa rawaani he
chaal lagti he behta paani he
tu jo hansti he to khilei kaliyaan
tujh se shar.maye raat -rani he
zulf teri ghane kale badaal
in se sawan tu kabhi bar-saa
kit ni pyaasi he dil ki ye dharti
tu baras ja ban ke kali ghataa
written by hameeda ameer
apna khayal rakhna
ALLAH HAFIZ bibbo
|
13/7/10
as salamu ale kum
sari duniya bani diwaani he
kitni dil kash teri jawaani he
teri banhon me kya rawaani he
ae-sa lagta he behta pani he
chalti tu haye morni jese
dekh kar jhume ye jawani he
jab se dekhi teri suraat he
zindgi kitni khub suraar he
sari duniya sune kahaani ye
me tera raja tu meri rani he
dil ko lute teri ada-e ye
kit ni zalim haye ada-e he
teri meri bas ye kahani he
kit ni dil kash teri jawaani he
apna khyal rakhna
written by hameeda ameer
allah hafiz
12/7/10
mujh ko rota dekh wo aasma bhi ro pada
sath mere ro raha he aasmaa bhi dekh le
ajaa tujhe bula rahi nakaam dil ki hasrate
sans rukti ja rahi tere bina aa dekhle
baad me pach taye ga na phir hame tu payega
pyaar mere jesa duniya me kahan se layega
phir hame na payega pagal tu ho jayega
is liye tujh ko pukara jati jaan ko rok le
jan jati he tere bin ake is ko rok le
apni diwaani ke dil ki bat ajaa maan le
sun le tu dil ki sada dil ke malik maan le
jan jati he meri ake mujh ko tham le
apna khyal rakhna
written by hameeda ameer
ALLAH HAFIZ bibbo
dil tujh pe agaya he ye raaze halat kahi he
meri dil tu meri dharkan tu
mera jahan tu mera man tu
mere har paal me sirf tu hi tu
din tu raat tu meri zaat me
ehsaas me mere khuwaab me
esse age or kya kahun me
meri ruh me- meri sans me tu
tu hi tu he .Ameer. meri jaan tu
ye jan le ye maan le pehchan tu
bibbo, karti he kitna pyaar man tu
Apna khayal rakhna
written by Hameeda Ameer
ALLAH HAFIZ BIBBO
No comments:
Post a Comment