18/8/10
jin ki duniya me maa nahi hoti, maa ke wo pyar ko taras te hei
kitne logo ki maa ho kar bhi, maa ki khidmat nahi wo karte hei
kal wo pachtayenge zmane mei, galt fehmi me aaj wo jite hei
badd naseeb pyaar maa ka khote hei, budhe ho kar yehi loog rote hei
yaad ayenge aaj jo khote hei, lakh unko pukaro duniya me
ane wale fir kaha hote hei, waqt hote huwe samhal jao
un ke jaz bat tum samajh jao, un ki khid mat me logon lag jao
maa baap ko lagao gale, un ki halat ko tum samajh jao
un ke pero me hei jannat kunji, aakhirat ko tum sawar jao
witten by hameeda ameer
apna khayal rakhna
ALLAH HAFIZ
17/8/19
as salamu ale kum
dard or dukh se bhari teri duniyaa, bhuk or pyaas se mar -rahi teri duniyaa
aaj majbur hei budhi maa sab ki, un ko thukra rahi teri duniyaa
baap - bete or bhai - behen , naf, ratei palti teri duniyaa
aaj lag ta nahi kuch bhi achcha, path dil bani teri duniyaa
pyaar jazbaat or khuddari, daau sab kuch laga rahi teri duniya
bhej de tu masiha koi khuda, jo saware aaj teri duniyaa
wirtten by hameeda ameer
apna khayal rakhna
ALLAH HAFIZ BIBBO
16/8/19
as salamu alekum
teri chahat mili hmei jab se , ye zmaana haseen lagne laga
koi duja nahi jahaan me ab , tera chehra ( chand ) lagne laga
baahare phool sare ye nazare , tere ane se hansi ab hei sare
tere ane se suni duniya me , kun khizaa bhi haseen lagne laga
kya mohabbat esi ko kehte hei, tu hi sab se hasin lag ne laga
witten by hameeda ameer
apnakhayal rakhna
ALLAH HAFIZ
16/8/19
salamu ale kum
be qarari ka ajeeb aalam he , yaad teri sata rahi he mujhe
yaad wo aaraha zamaana he, yaad teri rulaa rahi he mujhe
aaj kitni sata rahi yaadei , laab to khamoosh roo rahi aankhei
dil to kehta he bhul jau tujhe , rasme ulfaat sata rahi he mujhe
kit ni bedard haye duniyaa he , phir bhi chahat bula rahi he tujhe
aahei bhar te hei aaj ham to sanam, rooti aan khei bulaa rahi hei tujhe
witten by hameeda ameer
apna khayal rakhna
ALLAH HAFIZ BIBBO
14/8/19
ayaa he mahina sawan ka or yad tumhari laya he,
ambar pe badarwa chaye hei or sath bijuriyaa laya he
ghan ghoor ghata ja lot bhi ja sajan mere pardes gaye
jab cham ke bijuriya dar lage aese me drana thik nahi
sajan ke karejwa lag jau sajan to mere paas nahi
barkha ke sath ye neyan bahei ajao rulana thik nahi
tere bin din ab kat te nahi or din ye judai hat te nahi
ajao sajan aa bhi jao ab itna satana thik nahi
tere bin ab to dil na lage sawan ki fuhare shul bani
tadpe dil bin pani machri itna tadfana thik nahi
wirtten by hameeda ameer
apnakhayal rakhna
ALLAH HAFIZ
11/8/19
as salamu ale kum
dil mera aaj mujh se kehta he gar ijaazat mujhe khudaa de de
sajda apni maa ko me karlun gar ijaazat khuda mujhe dede
mafi mujh ko tu khuda de de chum lun me gar maa ke pro ko
us ke peroo mei meri jannat he mafi gar tu mujhe khuda de de
tu kahe to me khudaa manu ? gar ijaazat tu khudaa de de
usne pe-daa kiya he pala mujhe mujh pe ehsaan kit ne kar dale
kese utrenge ye sabhi mujh se mere hisse me meri maa de de
aaj bebas he kitni budhi maa meri ye umr bhi usse de de
apna khayal rakhna
wirtten by hameeda ameer
ALLAHHAFIZ
as salam-o -alekum
meri chahat mera es dil ka qaraar he tu, mere es dil ke aine ka raaz daar he tu
tere siwa koi nahi he pyaara mujh ko, meri rooh or jism ka tabedar he tu
meri har saans me tu hi tu basta he, meri har dhardan ka zimmedar he tu
meri har shushi or gaam ka sarmaya he tu, meri suni ( siyaah ) rato ka ( charaag ) he tu
tere siwa nahi mera koi zamane me sanam, tujh ko malum nahi mera ( jahaan ) he tu
written by hameeda ameer
apnakhyal rakhna
bye bibbo
23/7/10
ku tere pyaar me hans te hei kabhi rote hei, kya mohabbat ke gam is tarhaan hi hote hei
teri chahat me sukh - dukh ku uthate hei, kabhi - rote hei or- hanste hei - ruth- jate hei
chand yadon ke siwaa kuch bhi na paya hamne, teri ik yaad he ham jis se behel jate hei
chean ik pal ko bhi nahi milta door ho kar tujhse, bas teri dhun me ham to duniya se door jate hei
ajaa ab to ajaa dil ki awaaz yehi kehti he, teri ek yaad he din raat sath rehti he
chen lene nahi deti teri furqaat mujh ko , beqaraari he jo shamo sehar rehti he
written by hameeda ameer
apnakhayal rakhna
bye bibbo
20/7/10
as salamu ale kum
teri sanso me ae-si khushboo he, is naashe me dub jana hei
tu meri khub surat ik gazaal , zindgi bhar gun-gunani hei
pyar mera tera purana he, sari duni se ye chipana hei
guzre bahon me zindgi meri, raaz dunia ko na bata na hei
dush-man ulfat ka zamana he, raaz ye bhi bada purana hei
raze ulfat nahi batana he, dil ki duniya alag basa na hei
sirf dekhu tujhi ko piyaar karun, ab to yun zindgi bitana hei
apna khyal rakhna
wirtten by hameeda ameer
ALLAH hafiz bibbo
17/7/10
as salam-o-alekum
tu hi tu bas nazaar mujhe aata , tera ( jalwaa) hi har taraaf bhaatakun nazar aye sirf tu he tu har su, apne sare (karishme) tu dikhla???
meri har sans me meri ruhh me, is zamee me aasmaa mei sirf tu hi tu
chand me chand ni raat me tu , saree (qaainaat) me tu hi dikhta he
tu he phoo loon me or kaliyon me, noor teraa he har su. har jagha bas tu
phir bhi bande nahi samjh te hei, tune (duniya) banai kese (kun)
kees (maqsad) se ham ko bheja he, bhul bhethe hei aaj sare kun?????
kun bhalai sabhi se chuti he, duniya lagti he sari jhuti he???
or burai sabhi ko bhati he????, dil kun lagta (sheitani) bato me
bhul bhthe he kun bhalai sab, dil (shiyah) ho gaye hei jane kun
raasta ( bhalai ) ka nazar nahi ata , rasta in ko dikhade malik tu
noor tera he har taraf phel laa, phir bhi in ko nazar na aye kun
char din ki ye zind gani he mere rabba, chod duniya ye to jani he
karm ki sazaye phir to pani he, un ko rasta dikha mere malik tu
written by hameeda ameer
apna khyal rakhna
ALLAH hafiz bibbo
15/7/10
as salamu alekum
dil chu-rayen mera nichi-nigaah,, mujh ko pagal banayen teri aad-da
dil mera haye bas tujhe chahe, kesa zaalim ne mujh pe jaad-du kiya
tu jo chaalti he kyaa rawaani he, chaal lagti he behta paani he
tu jo hansti he to khilei kaliyaan, tujh se shar.maye raat -rani he
zulf teri ghane kale badaal, in se sawan tu kabhi bar-saa
kit ni pyaasi he dil ki ye dharti , tu baras ja ban ke kali ghataa
written by hameeda ameer
apna khayal rakhna
ALLAH HAFIZ bibbo
|
13/7/10
as salamu ale kum
sari duniya bani diwaani he, kitni dil kash teri jawaani he
teri banhon me kya rawaani he, ae-sa lagta he behta pani he
chalti tu haye morni jese , dekh kar jhume ye jawani he
jab se dekhi teri suraat he , zindgi kitni khub suraar he
sari duniya sune kahaani ye , me tera raja tu meri rani he
dil ko lute teri ada-e ye, kit ni zalim haye ada-e he
teri meri bas ye kahani he, kit ni dil kash teri jawaani he
apna khyal rakhna
written by hameeda ameer
allah hafiz
12/7/10
mujh ko rota dekh wo aasma bhi ro pada, sath mere ro raha he aasmaa bhi dekh le
ajaa tujhe bula rahi nakaam dil ki hasrate, sans rukti ja rahi tere bina aa dekhle
baad me pach taye ga na phir hame tu payega, pyaar mere jesa duniya me kahan se layega
phir hame na payega pagal tu ho jayega, is liye tujh ko pukara jati jaan ko rok le
jan jati he tere bin ake is ko rok le, apni diwaani ke dil ki bat ajaa maan le
sun le tu dil ki sada dil ke malik maan le, jan jati he meri ake mujh ko tham le
apna khyal rakhna
written by hameeda ameer
ALLAH HAFIZ bibbo
As salamu ale kum
dil tujh pe agaya he ye raaze halat kahi he
meri dil tu meri dharkan tu ,
mera jahan tu mera man tu
mere har paal me sirf tu hi tu,
din tu raat tu meri zaat me
ehsaas me mere khuwaab me,
esse age or kya kahun me
meri ruh me- meri sans me tu,
tu hi tu he .Ameer. meri jaan tu
ye jan le ye maan le pehchan tu, bibbo, karti he kitna pyaar man tu
Apna khayal rakhna
written by Hameeda Ameer
ALLAH HAFIZ BIBBO
No comments:
Post a Comment